Aap me se kayi log aese honge jinhe smartphone purchase krna hoga, kisi ko TV purchase krna hoga or kisi ko laptop purchase krna hoga. Aab yadi aap laptop purchase krne ka planning kre rhe hai, to yah post apke liye bahot jaruri hai. Kyonki is post me hum apko batayenge ki laptop buy krte time kin kin bato ka khas dhyan rakhna chahiye.



Laptop For Work

Yah kafi important question hai, ki apko laptop konse work ke liye chahiye. Yadi aap gaming laptop purchase krna chahte hai, to apko high power hardware, high storage or memory wale laptop purchase krne chahiye. Yadi aap office work, online class or browsing ke liye laptop lena chahte hai, to apka kam low storage or low power hardware se bhi chal jayega. Apni jarurarat ke hisab se RAM or Storage select kre.

Your Budget

Jarurarat ke hisab se apko apna budget dekhna chahiye, kyonki kam jarurarat ke liye jyda paisa kharch krne ka koyi matlab nahi hai. Yadi apki jarurarat office ke kam, online class or browsing ki hai to apko 25,000 se 30,000 rupees ki range me achhe laptop mil jayenge.

Easy on Carry

Yadi apko apne laptop ko lekar akshar kahi aana jana hota hai to apko 13 inch se 14 inch ke Laptop purchase krne chahiye. 15 Inch laptop ko carry krne me problem hoti hai. Iske alava laptop purchase krte time uske weight ka bhi dhyan rakhe. Yadi kisi laptop ka weight 2 Kilogramme se jyda hai to apko wah laptop nahi purchase krna chahiye.

Connectivity Port

Aaj kal aese laltop bahot aane lage hai market me jinme bahut hi kam connectivity ports milte hai. Aese me apke liye bahut jaruri hai ki aap in ports ka dhyan rakhe. Generally aese hi laptop purchase kre jinme kam se kam 2 type A USB port, 1 type C-Port, ek headphone jack, ek LAN port, micro sdcard reader or ek HDMI port ho.

Processer

Yadi aap year 2020 me laptop purchase krte hai, to apko kam se kam I3 ke 10th generation wale laptop purchase krne chahiye. 25,000 rupeesCki range me Intel Pentium Gold, AMT or Celeron processer wale laptop mil jate hai, lekin apko inse bachna chahiye. Kyonki work badh jane pr apko new laptop purchase krna pad sakta hai.

Build Quality or Display

Always non reflective screen wale laptop ko choose kre. Budget laptop me 720 Pixels resolution wale laptop purchase kre. Is display se apke office, online class jaise work easily complete honge.

Conclusion

Dosto i hope aap sabhi apna laptop in point ka dhyan rakhke purchase krenge. Post achhi lagi ho to apne friends ke sath jarur share kre. Milte hai next interesting post ke sath. Agar koyi problem hai to aap hme niche comment box me bta sakte hai.