Navigation-Menus (Do Not Edit Here!)

Flipkart se Affiliate marketing Program se pase kese kamye ?

 Flipkart Affiliate Program. hum new generation ke sath sath economical yug me bhi life ji rhe hai. Aaj ke new generation ko apnane ke liye economical rup se storng hona bahot jaruri hai. Yah storng Ness ayegi kaise? Iske liye paisa kmana hoga. Paisa kamane ka meaning hai dher sara paisa kamna hoga. Iske liye apko har us tarike ko janana hoga or life me lana hoga jisse paisa kamaya ja sakta hai. Paisa kmana matlab job kro ya fir business kro dono hi jagah investment krna hota hai. Jub aap nokri krte hai to time ke sath apna yogyta ke sath kus bachat bhi invest krna padta hai. Yah apko decide krna hai, konse ways aap paisa kamana chahte hai. 



Flipkart affiliate program paisa chhapne ka machine to nahi hai lekin aap iske jariye paisa jarur kma sakte hai. Iske liye apko bahot jyda mehnat krni ki jarurarat nahi hai, sirf thoda sa dimag lagana hoga. Aap kitni der social media ka use krte hai? Yah apko tay karna hai kya aab bhi iska use entertainment ke liye kiya jaye ya fir yah se thoda paisa bhi kamaya jaye. Yah se paisa kamane ke liye smart work ki jarurarat hai.

Jaldi se join kre affiliate program or ghar bethe paisa kamaye. Yah online paisa kamane ka smart tarika hai. Isse pehle hmari website pr or bhi bahot sari online earning se related post publish huyi hai, agar apne wo read nahi ki to abhi jakar pathe. Jab affiliate marketing aap samaj jayenge bahut easily Flipkart affiliate program se paisa kma sakte hai. Iske alava bhi kayi aesi website hai jha se affiliate kr paisa kamaya ja sakta hai. Kus affiliate topics aese bhi hai jha se paisa chhapa bhi ja sakta hai. Yah aap pr nirbhar krta hai, aap paise kamana chahte hai ya chhapna.

 Flipkart Affiliate Program ke bare mein

Kya paisa kamane ke liye apke under tufan uth rha hai? Online paisa kamana ek simple process hai pr easy nahi hai. Flipkart ek e-commerce website hai, jha se apne bhi kayi products jarur buy kiye honge. Affiliate ka matlab ek example se samajiye, ek business man chaye uska business kaise bhi ho uska promotion krta hai. Promotion me bahot jyada kharcha hota hai or yadi usse sales na badhe to high cost or nukshan ka khatra or bhi badh jata hai. Aese me success marketers ne unhe knowledge diya tu advertising me kam kharcha kr affiliate me jyda dhyan de. Kyonki jub product sell hoga to jiske through sell huva hai usko kus commission de dena. Sayad apko ye story smaj me aa chuki hai. Affiliate program se paisa kaise kamaye.

Flipkart Affiliate kya hai ?

Flipkart ka kahna hai tu muje customer de matlab mera product sell kr main tuje commission dunga. Aab yah janana bahut jaruri hai yah commission kitna hota hai or isr kitna kamaya ja sakta hai or kaise iska product sell krte hai? Iske bare me apko aage detail me bataya hai.

kese kare Join Flipkart Affiliate Program ko

Ek word me khu to bahot easy hai ye. Agle 10 seconds me aap Flipkart Affiliate Program join kr lenge but paisa kamane ke liye apko daily 10 hours dena hoga. Yadi aese kiya to aane wale kus dino me aap paisa chhapna start kr denge. Sabse pehle apko Flipkart affiliate program me signup krna hoga. Aap Google me search krke join kr sakte hai.



Flipkart Affiliate pase kese kamye jaye

Yha join now free pr click kr apna account setup krna hoga. Usse pehle thoda niche scroll krke aap dekh sakte hai konse products pr apko kitna commission milega. Bahot dino pehle yha pr commission bahot jyda milta tha. Lekin aab yab kam ho gya hai. Lekin abhi buyers bahot high ho gye hai, to aane wale time me buyers or bhi high honge.

Flipkart Affiliate Commission

I hope basic internet jankari se aap awgat hai. Muje screenshot ke sath samajane ke koyi jarurarat nahi . Yadi aap bhi chahte hai screenshot ke sath samajay jaye to aap comment krke hme inform kre. Hum apni next post me uska dhyan rakhenge. Aab hme sabse important bat ko samajne ki jarurarat hai. Kaise products sell kre or paisa kha se ayega?

Earn Money From Flipkart Affiliate Program

Iska answer bahut easy hai apko apne through products sell kren hai jo online possible hai. Aese me apko online aesa kus krna hoga jisse customer Flipkart se jub bhi kus buy kre to apki website se hi kre. Lekin ek bahot badi problem hai hamari ham logo ko dusro ki development achhi nahi lagti. Kya kabhi apne kisi or ke links koyi products buy kiya hai? Agar humko pta chal jaye hamare product buy krne se kisiko fayda mil rha hai, to hum wah products buy hi nahi krte hai. Iske liye apko dusro ki links bhi product buy krna chahiye. Aap Flipkart se buy kre ya kisi affiliate network se buy kre utna hi paisa dena padega. Lekin hme lagta hai mere buy krne se use fayda kyu mile? Sabse pehle is tarah ka kam krna stop krdo khud se hi start kro.

Main apko yahi kehna chaunga ki aap is problem ki samajiye. Jub aap Account bna lenge to product ka affiliate link banana hoga or is link ko promote kijiye lekin yah kam general tarike se kiya jaye to mehnat jyda or paisa kam hoga. Sabse pehle apko customer ko ek aese platform pr lana hai jha easily usko product ka link diya ja sakta hai. Iske ke liye aap kayi kam kr sakte hai, jaise Facebook page, group ya website bna wha se customer ko apne links ki help se Flipkart tak bhejna.

Best Way to Generate Traffic to Affiliate

Koyi bhi person apke affiliate link se kyu buy krega kyonki Flipkart pehle se bahut bda e-commerce site hai, apke website se jyda log use jante hai. Apke website se jyda old bhi hai. Lekin aab apko yah questions ho rha hai ki fir aapne hamara or aapna time waste kyu kiya? Log apke affiliate links se purchase kre uske liye apko mehnat krna hoga to aap mehant krne ke liye ready hai?

Sabse pehle ek question aap se hai, aap jub bhi kus online buy krte hai to Flipkart ya Amazon se hi purchase kr lete hai ya fir kus or bhi krte hai? Comment me jarur batana aap kya krte hai? Main apna batata hu me sabse pehle uske bare me janane ki kosis krta hu. Yah product kaise hai, ise kha se buy kiya jaye, best deal kha pr milegi. Sath me jin logo ne buy kiya hai unka kya feedback hai. Iske bad hi purchase krta hu. Sayad aap bhi aese hi purchase krte honge. I hope story apko samaj me aa gyi hogi. Aap jan gye honge Flipkart Affiliate Program se paisa kaise banaya jaye.

Affiliate se paisa kamane ke liye ek aesa Facebook group ya Facebook page banana hoga, jha se aap products ke bare me details me information doge. Jha aap product ke bare me e-commerce site se best product list ready kroge. Logo ko yah samajana hoga hum apke liye itne sare products main se best choose krke late hai, to aap purchase kriye. Aesi kayi website hai jo Flipkart Affiliate Program, Amazon Affiliate Program se paisa kma rhi hai. Kus to paisa banana ka kam kr rhi hai. Paisa banane se pehle aap paisa kamana start kre.

How to Start a Affiliate FB Group

Kus log to bina money invest kre paisa kamana chahte hai, unke ke liye Facebook Group best option hai. Lekin dhyan rhe starting always kisi ek category se hi krni hai. Kabhi bhi shopping mall banane ki try nahi krni Chahiye, time ke sath jub site jub website chal jaye to shopping mall khud hi ban jayega. Lekin starting me yah mistake mat krna. Starting me kisi ek type ka hi product list krna start kro uske bare me sabhi information likho. Uske bare me customer kya chahta hai, uske bare me sahi or galat dono information customer ko dijiye. Customer yah bat bataye ki yah product lena chahiye ya nahi? Aap apna trust jitna jyda badhayenge utna jyda apko benefit milega.

How to start Affiliate Website

Affiliate website ke liye apko kus investment bhi krna pad sakta hai. Lekin aap chahe to free me bhi start kr sakte hai. Iske liye ek blog banana hoga jha products details publish krna hoga. Or is blog ko SERP me rank karana hoga. Jisse jyda se jyda traffic apki website tak aaye. Jitna jyda traffic utna jyda paisa. Main bat hai blog kaise banaye? Iske liye aap hamari website me bahot post hai wo read kr sakte hai.

I hope apko samaj aa gya hoga ki website kis tarah se banani hai. Yadi aab bhi koyi problem hai to niche comment box me bta sakte hai. Blog banane ke bad jis bhi product ke sath aap start krna chahte hai uske bare me details me jankari dena start kre, jisse log apki website pr dusri e-commerce website se jyda trust kre.

How To Make Money With Affiliate Network

Aab time aa gya hai ki aap paisa chhapna start kr de lekin, chhapne se pehle website pr traffic chahiye jitna jyda traffic log apki website tak ayenge usme se 10% product buy krne ki kosis krenge. Yadi average 10% log bhi apke affiliate links se product buy krte hai to apki bahot achhi kmayi ho jayegi. Amazon or Flipkart pr kayi products aese jo jiske bare me bahut kam jankari kisi other websites pr available hai. Isliye kosis kijiye waise product ka hi list banaye.

Article ka Conclusion

Kayi bar aesa dekha gya hai blogge kus din kam krte hai koyi results nahi milta hai or wo apna rasta change kr lete hai. Aesa bilkul bhi na kre. Yadi apna 100% de rhe hai or apko results nhi mil rha hai to jarur rasta badlna chahiye lekin, yah aap decide kre aap apna 100% de rhe hai ya nahi.

Post a Comment

0 Comments