Navigation-Menus (Do Not Edit Here!)

How To Solve Slow Wifi Problem ?

 Smartphone, TV, Computer, or video game consoles ko WiFi ke jariye internet se connect kiya jata hai. Magar wifi me kus problem aa jaye, to unhe is tarah dur kr sakte hai. Daily life me hme wifi ki jarurarat padti hai, jaise bijli or pani ki. Jydatar internet service providers basic modem router dete hai, jiske chalte ghar ke bahot corner uski range me nahi aate.




Router On Right Place

Wifi router ko rakhne ka sabse badhiya tarika ghar ka center point hai. Isse apko ghar ke har kone me wifi ke signal milenge. Sath hi, aap wifi ke router ko apne eye level ya fir usse upar ke level pr rakhne ki kosis kre, isse apka wifi signal bahtar bna rehega.

Use Repeaters For High Range

Kayi bar internet service provider krne wali company, jo router deti hai, wah akshar pure ghar me wifi ka network nahi phonchata. Iske liye aap repeaters ka use kr sakte hai. Yah device apke router se wifi signal lekar uske coverage aeria ko badha degi. Repeaters se connect hone ke liye WPS sabse easy method hai. Iske liye apko apne router ke WPS ko enable krne ke sath reapeter ke WPS button ko ON krna hoga.

Guest Network

Aap apne router pr guest Network ko enable kr, uska separate password rakh le. Isse ghar pr aane wale mehman ko apka main password nahi batana padega, jub apke dost ghar se chale jaye, to aap guest network ko off krke apne home wifi ko fir se start kr sakte hai. 

Reboot Router

Waise to router always work krte rehne ke liye bnaya gya hai, magar kabhi kabhi aap inhe reboot bhi kar sakte hai. Dhyan rhe reboot kre, reset nahi. Sabse bahtar tarika yah hoga ki aap router ko off krke kus der bad on kre. Kayi bar connectivity me problem aane pr bhi yah tarika kam karta hai. Off krke on krne pr internet sahi se chalne lagta hai.

Conclusion

Friends i hope aap sabhi ko yah post kafi pasand aayi hogi. Dosto in tips ko aap use krke apne ghar pr wifi ko speedup kr sakte hai. Don't forget to share this post with friends and family.

Post a Comment

0 Comments