Navigation-Menus (Do Not Edit Here!)

How To Save Smartphone Battery ?

Aaj ke time pr smartphone ke bina life adhuri hai. Smartphone ke lgatar use ke karan akshar hum battery charge krne ka time tak nahi nikal pate hai. Aese mai yadi in 5 tips ka use kre, to mobile me battery jyda der tak sath degi.




Low Display Brightness

Display hamare smartphone ka impornatnt hissa hai. Agar iski brightness aap jyda rakhenge to ye aap ki jyada battery consume krega. Aese me jyda brightness ki jarurat na mehsus hone pr ise normal kr de. Is traike se bhi apki battery save hogi.

Stop Bluetooth And Location

GPS or Bluetooth ko on rakhne se phone ki battery life kafi speed me low hoti hai. Aese me krna yahi hoga ki jarurarat na padne pr in dono ko off krke rakhe. In dono hi features ko  quick access panel se on/off kiya ja sakta hai.

Don't Use Live Wallpaper

Jub live wallpaper use hote hai to isse display higher frequency pr update hota hai. Isse bhi kafi battery consume hoti hai. Screen ko high rate me refresh krne ke alava ye phone ke resources ka bhi use krta hai. Aese me ise stop rakhne se apke phone ki battery ki life jyda long ho jayegi.

Stop Unwanted Background Apps

Background me jari apps processer ko kam me lgaye rakhte hai. Aese me ye battery bhi consume krte rehta hai. Is karan processer usage kam karne or battery down hone se bachane ke liye un sare background apps ko stop krde jinhe aap istemal nahi kr rhe hai.

Disable Always On Display

Is features ki help se hum date, time or battery ka quick look le pate hai, lekin har time ise on rakhne se ye phone ki battery bhi speed me low krta hai. Aese me ise disable kr de ya power saving me sift kr de.

Conclusion

Friends mai asha karta hu aap sabhi ko yah post kabhi pasand aayi hogi. Jinko bhi apni phone ki battery life increase krni hai wo sab bhai in 5 trick ko use kr sakte hai.

Post a Comment

0 Comments