Navigation-Menus (Do Not Edit Here!)

Remember This Point Before Online Shopping ?

Amazon or Flipkart pr festival sell start ho gyi hain. Dono website pr mobile or TV se lekar clothes or home decoration tak ke items pr bahot bada discount mil rha hai. Online shopping koyi buri bat nahi hai, lekin online shopping mai khatra bahut rehta hai. Online shopping ke time cheating ki ghatna bahot hoti hai. Aese mai agar aap bhi online shopping krne ka soch rhe hai, to usse pehle in bato ka jarur dhyan rakhe.




Priority To Official Sites

E-commerce website ke alava aap apne product ko uski maker company ki official website ya application par find kre. Vha available hone pr hi product buy kre. Aese mai apko best items milengi or payment bhi secure rahega.

Aware From Fake Sites

India me 100 se bhi jyda e-commerce website chal rhi hai. Inme kus aesi bhi hai jo sirf logo ko dhoka dena ka kam krti hai. Kayi bar yha products pr bhari discount dikha kr logo ko attract kiya jata hai. Order krne pr paisa to jata hai, lekin product ya to milta nahi ya fir wrong milta hai. Aese mai order krne wale ke pas guilt ke shiva kus nahi rehta.

Use Cash On Delivery

Kisi bhi tarah ke online fraud se bachne ke liye sabse easy or secure way hai cash on delivery. Agar kisi product ko purchase krne ke time yah service milti hai, to apko ise hi choose krna chahiye. Isme pehle product apke pass aata hai, uske bad apko cash payment krna hota hai. Aese me fraud ke case kam ho jate hai.

Tick 'No' On Save Details

Shopping ke time payment krte huve aap apne ATM ki details dalte hai, to apko save card details ka option milta hai. Kayi bar usme pehle se hi ok ya yes par tick kiya huva hota hai. Payment confirm krne se pehle us tick ko yes se remove kr no select kr le.

Conclusion

Yah bat bhi aap jante hai ki Flipkart or Amazon jaisi company khud product sell nahi krti. In company ki sites se alaga alag retailers apne products sell krte hai. Aese main apke liye jaruri hai ki kisi bhi product ko purchase krne se pehle wah seller ke review ko jarur read kre jo wah product sell kr rha hai. Review apko site pr hi mil jayega. Iske alava yadi aap Amazon se product purchase krte hai to uske sath Amazon full-filled ka label milta hai. Aese hi Flipkart par bhi label lga hota hai. Labels ke sath wala hi product purchase kre.

I hope aap sabhi jub bhi online shopping krenge in bato ka dhyan jarur rakhege. Or apne family walo ke sath bhi ye tips jarur share kre. Ho sakta hai apke ek share se kisi ke mehnat ke paise bach jaye.

Post a Comment

0 Comments