Navigation-Menus (Do Not Edit Here!)

Google Reverse Image Search

Google Reverse Image Search


Hal hi mai aapne TV or par google Lense ka advertisement dekha hoga. Jisme camera ki help se dusre country ke word ko translate kiya jata hai. Ya fir unknown items ya place ko find kiya jata hai. Lekin jab jarurat computer par ho tab kya karenge. Is problem se bachne ke liye aap Reverse Image Search feature ka use kar sakte hai. Is feature ki help se aap copyright se bhi bach sakte hai. Chaliye jante hai iske bare mai. 




Google Reverse Image Search

Computer par kam karte time kayi bar hum kus photos ka use kar lete hai. In photo ko social media par dalne se lekar apne blog ya khud ki website par post karna tak samil hai. Lekin kabhi bhi photo post karne se pehle yab socha hai ki yah photo kab ki hai. Ya fir kha ki hai. Ya fir us par kisi tarah ka copyright to nahi hai. In sabhi questions ke liye aap Reverse Image Search feature ka use kar sakte hai.

Easy hai Reverse Image Search Use Karna

Reverse image search google ki ek service hai or uska use chrome browser par hi kiya ja sakta hai. Uske liye pehle browser mai google image search type kare. Uske bad search bar mai left side mai dikhayi de rhe camera ke option par click kar de. Aesa karne par search bar box ke niche ki or ek new box open hoga. Jisme aap photo ka URL Link paste kar sakte hai. Agar uska URL nahi hai or wah photo aapke computer par hai to us photo ko google ke server par upload kar de. Jiske liye dusre wale option ko choose karna hoga. Uske bad google ek new webpage open karega. Jisme upar ki tarah photo ke content ki information di jayegi. Uske bad us photo ko kha kha use kiya ja chuka hai. Un stories ki information bhi screen par aa jayegi.

Reverse Image Search In Mobile

Google ke reverse image search ke feature ka use chrome mobile version par thoda muskil hai. Uski jagah aap google lense app ka use kar sakte hai. Agar google lense aap ka use karna nahi chahte hai to phone mai chrome browser open kare. Uske bad left side upar ki or diye gye three dots wale option pr click kare. Aesa karne ke bad new window open hogi. Jisme desktop site par click kar de. Iske bad browser mai google reverse image search type kare. Fir search bar mai diye gye camera option par click kare or apna photo khud find kare.

Conclusion

Dosto apko kaise lagi ye interesting trick, muje lagta hai aap sabhi ne ye post enjoy ki hogi. Dosto is trick ko apne work me jarur use kre. Aesi hi or tips & tricks ke liye hmari website ke newsletter ko subscribe karna na bhule.

Post a Comment

0 Comments